Thursday, June 12, 2008

Bheengi se ye sham........

...Bheengi si ye sham tere tassaur me chhodkar chalte hain....
waqt me lapetkar,sirhane me isko rakh lena.....


kabhi-kabhi jab yun hi,
dhoop jyada ho jindagi ki,
iske ek katre se apni aankhen nam kar lena....


har pal ye kambakht sanse kisko yad rakhti hain,
barish ki har sham me saanson ko inme jamne dena....


jama hua,naram sa wo ehsas,
gudgudaye kabhi to ek nazm koi bana lena.......


pighal kar katra -katra jab teri nashon me bah jaye,
to meri tarah tum bhi apni mayyat saja lena....

1 comment:

Piyush k Mishra said...

kahan gaayab hai divya aajkal aap??

bheegi si ye shaam....

kitni udaasi hai aur kitni taazgi bhi.kamal hai na!! ek saath donon hi baatein hona.

gudgudaaye kabhi....mazedaar bhav hai.bahut mazedaar.kuchh shabd hi aise hote hain jo apni baat bol jaate hain..gudgudi unmein se hi ek hai.achha prayog hai.

kul mila kar shabdon ka achha chayan,bhaavon ka achha sampreshan aur ek khoobsoorat kavita