Har ek teh me band hai resham si chhuan....
aur har rat palkon ko gudguda jati hai....
khwabon ki chiknai to dekho..
her nind fisal hi jati hai...
chidyon ke par,titliyon ke rang aur bele ki sugandh..,
aaj bhi har rat ko kahaniyon sa bun jati hai....
baste me band us kachhe aam ki khusboo
kyon aaj bhi swad me ghul si jati hai...
us gay ke bachhde ka nam aur uska chalna pehli bar
yad aa aaj bhi masoomiyat si mang lati hai.....
wo gudiya ki shadi aur jhuke neem k pedon ki dali...
jehan me ghul sab gulabi kar jati hai....
pyaj k kuchh phool aur sabke hisse ki alag kyariyan...
kabhi-kabhi har rang ko dhani kar jati hai....
daudti thakati soch ki ladiyan relgadiyon si...
us namkeen se aanchal me jakar tham si jati thi...
khele the kitne hi khel tere aangan me....
tu har khel me mujhse hara karti thi....
kal tha jo bachpan,
aaj us kahni ka NAAM khwab rakha hai..
aur tujhko kya main NAAM doon,
tera NAAM aaj bhi maine maa rakha hai...
No comments:
Post a Comment