Chaha jo tujhe pyar karna.....
to tu meri uljhan ban gaya!
Chaha tujhe bhul jana.....
to tu mera mukaddar ban gaya!
Chaha tuhe na chahna...
to tu mera wajood ban gaya!
Chaha tere pyar ko chhupana...
to tu meri pehchan ban gaya!
Chaha tujhe aankhon me chhupana...
to tu katra aansoon ka ban gaya!
Chaha tujhse jo kuchh na kehna....
to zindagi ka fasana ban gaya!
Chaha tujhse jo kuchh kehna....
to na jane kab anjana ban gaya!
Chaha tere sapno me basna...
to tu ratjagon ka karn ban gaya!
Chaha jo teri subah ko rangana...
to tu neeli shamo ka ghera ban gaya!
Chaha teri aankhon me basna...
to tu khud ek najara ban gaya!
Chaha jo teri zindagi me tham jana...
to tu chalta firta waqt ban gaya!
Chaha tujh me hi kahin bas jana...
to tu hi meri aawargi ban gaya!
No comments:
Post a Comment