Friday, June 13, 2008

gulmohar...poochhta hai!!!!!!!


gulmohar roz mujhse tumhara naam pochhta hai..........


wahi gulmohar...

jiski ek pankhudi tumne mere kano me pehnayi thi,

jiske chhawn tale...

humne sari kasme poori karne ki,

kasam khayi thi...


rishtey ka aagaj jo dekh tha usne...

usi hansi karvaan ka aaj wo anjam poochhta hai...


gilmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


yad hai...

alsayi garmi ki wo dopehar,

jab tumne mere dupatte ke kor me,

uske kuchh phool bandhe the........

kya tha wo?

shayd humari koi mannat thi.....


duaon ki si bhid me wo..

gum huye phoolon ka hal poochhta hai....


gulmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


kaisi hasin firozi sham thi.....

jab main chhupakar tumse milne aayi thi,

meri ungliyan uske patton me lipti thi,

jisko suljhakar tumne,halke se mera hath dabaya tha....


uljhan ki is andheri sham me..

hare se un patton ka naya rang poochhta hai....


gulmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


gum se hote subah,dopehar aur sham.....

pahle chote se,

fir tera wo lamba sa intezar,

ab main wahan nahi jati........

kabhi nahi jati.........


mulakaton ke is ajib se silsile me.......

apni nayi tanhai ka raj poochhta hai......


gulmohar mujh se tumhara naam poochhta hai!!!!!!!!!!

7 comments:

Piyush k Mishra said...

aashcharya hai khoobsoorat kavita par koi comment nahin hai!!

gulmohar roz mujhse tumhara naam pochhta hai...

ye line baar baar aati hai kavita mein....aur sach kahiye to baar baar aana hi iski khoobsoorati hai.

humne sari kasme poori karne ki,
kasam khayi thi...

shabdon ka chamatkaar shayad ise hi kahte hain.

jab tumne mere dupatte ke kor me,
uske kuchh phool bandhe the........
kya tha wo?
shayd humari koi mannat thi.....

kitni khoobsoorati se bayan kar diya hai ek haseen se pal ko.
Mirza ghalib jab sher banate the to apni begum ke pallu mein gaanth baandhte jaate the.har sher ki ek gaanth.aur phir jab unhein kagaz par utaarte the to ek ek karke gaanth khulyti jaati thi.
ye padh kar wahi yaad aata hai.jaise pallu mein phool baandh diye(sher likh diye) magar wo kagaz par utre nahin...

gulmohar mujhse tumhara naam poochhta hai....

aakhiri line mein ROZ shabd kisi khas wajah se chhod diya gaya hai??

Divya said...

piyush aapka bahut shukriya...aapne jis dil se is kavita ko padha hai..wo bahut hausla de raha hai..

aur haan ROZ shabd ka istemal bas ant me thodi si aur abhivyakti ke liye ki hai.....

Piyush k Mishra said...

divya ji

aakhiri line mein ROZ ka prayog hi nahin hai
pahli line mein hai.

Divya said...
This comment has been removed by the author.
स्वप्निल तिवारी said...

Are waah qatl....
Jabardast....

kahaa.n hai wo gulmohar
mujhe milna hai us_se
aapki aor nazmo.n ka raaz sununga usse...uska dost bankar...

Aor tab wo gulmohar zaawab dega mere sawaalo.n ka
jo gulmohar sirf puchta hai....

Divya said...
This comment has been removed by the author.
स्वप्निल तिवारी said...

divya ji .....aaj bahut din bad main apne blog pe coments dekh raha tha ..kuch purane se.. wahaaan aap ka ek cmnt mila ..aur main sochne laga ki kaun divya hai ...fir wahan se ap ke blog pe aaya..aur gulmohar wali nazm pe nazar padi ...aap achanak chali gayeen ? sab thik hai na.. ?