Wednesday, July 2, 2008

Ek nazm...zindagi...wali

तुम ज़िंदगी वाली एक नज़्म लिखना,
मैं उसमे कहीं भी शामिल ना रहूं..........
उसमे मेरा मत तुम ज़िक्र लिखना.

इंतज़ार मुझको ना मिले फिर कभी तेरा,
सो चलती फिरती राहों पर...
ना अपनी कोई पहली मुलाकात लिखना.

वस्ल की राह देखता हर रोज़ ये चाँद जलता रहता है,
मेरे उस पुराने घर मे.........
ना कोई खिड़की ना कोई छत लिखना.

चुपचाप बैठी खुद से सवाल करती रहती हूँ,
मुंतज़ीर ना हो जो जवाबों का........
मेरी ऐसी लंबी सी उम्र लिखना.

कितने जमाने बीत गये,रूठ कर जो तुम मुझसे गये,
मुझ मे लम्हों का एहसास ही मर जाए..........
ऐसी कोई प्यारी सी वजह लिखना.

तुम्हारे नाम के हर शख़्श को प्यार से देखती हूँ,
वक़्त कभी भी ना दुहरा पाए...........
ऐसा कुछ अपना अलग सा नाम लिखना.

अपनी बाहों मे खुद को लपेट कर सो जाती हूँ,
तेरे ख्वाबों की यादें भी ना हो.........
मेरी रातों की ऐसी नयी रहगुज़ार लिखना.

तुम लौट आओगे कभी तो,
मर जाए ये आस भी..............
मेरी ज़िंदगी मे बस इतना सा आराम लिखना.



तुम ज़िंदगी वाली एक नज़्म लिखना...

Thursday, June 19, 2008

Meri har nazm bhing si jati hai,
uski soch barasti rehti hai....


geeli yadon se nahakar main,
boondo ka aanchal odh leti hun...
badal thoda sa,
in aankhon me bhar leti hun..
sawan wali jo hoti hai mehndi,
unko haathon se chhu leti hun...
bas ye jo dooriyan hain na..
uska intzar nahi pehanati,
aur in barsaton ko to dekho...
aajkal bin mausam nahi barasti,
aaj rakh jaungi..
apne mausamon ki dehleez par,
wo mutthi bar gulmohar main...
jis se tumne mere maathe par,
wo lal sa sooraj buna tha...
rishtey ki sham si ho chali hai,
gulmohar bhi ab barsat dhundhta hai......
ab bas uski yaden barsati rehti hai...
aur meri har nazm bhing si jati hai..

Wednesday, June 18, 2008

sath

एक अँधा कुआँ है ये इंतज़ार,
मैं झाँकती रहती हूँ.......
कितने ही लम्हे चुन चुन कर डालती हूँ,
पर इस तन्हाई को कुछ महसूस नही होता...

तुम्हारी वो एक कसम,
ना जाने कौन सी उमर ले कर आई है...
कितना भी निचोड़ूं,
धड़कन का कतरा बंद नही होता.....

ये कैसी ज़िद है?
मैं क्यों तुम्हारा प्यार तौलती हूँ...
जंगली फूलों से खिल ही आते हैं,
साथ की यादों का मौसम कभी गुम ही नही होता..

Monday, June 16, 2008

!!!..Ek Aur nazm..!!!

aadatan main aaine ke chehre par bindi chipkati hun,
kya tum aaj bhi uski paridhi me meri shaql taraste ho....

ab takiye se,mere mehndi wale balon ki khusboo to nahi aati hogi,
fir kya raton ko tum yadon ki chader odh kar sote ho.......

main pareshan hun,tumhare liye jo RINGTONE ASIGN kiya tha,
ab bas wahi bajati hun...
jhoothe bahene se,khush hoti hun,
kya tum aaj bhi meri khamoshi tak sun pate ho.........

tumhe teesta(d river)ka hara rang bada pasand tha,
kahte the aasma ko chhod,ye apne pahadon ke rang odhti hai...
teesta kinare baith main ghanto pahadon ko takti hun,
meri pathreelon aankhon ki nami ka aasman,
kya ab bhi tum chunte ho???????

Saturday, June 14, 2008

चलो फिर से मोहबत की शुरुआत करते हैं....
आँखों की लुक्का छिप्पि को फिर से तसलीम करते हैं...

तुम फिर से वहीं किसी और का इंतज़ार करना...
जिस रह से हम अक्सर गुजरा करते थे.....

हम वो काली बिंदी फिर से यूँ ही लगा लेते हैं.......
जिसे देखकर तुम मुस्कुरा दिया करते थे....

तुम डेस्क पर फिर से वही किताब भूल जाना...
. जिसके पन्नो पर तुम हमारा नाम लिखा करते थे..

हम सीढ़ियों पर वही स्कार्फ फिर से भूल जाते हैं...
जिसे लौटते वक़्त तुम मेरे हाथों को हल्के से छुआ करते थे...

तुम केंटिन की टेबल पर फिर से वही धुन बजाना...
जिसके बोल हमारा नाम पुकारा करते थे....

वो प्यार जो छुता था पहले बिन बोले ही...
आओ उसी रेशम से फिर से जाल बुनते हैं....

चलो फिर से मोहब्बत की शुरुआत करते हैं...

Friday, June 13, 2008

gulmohar...poochhta hai!!!!!!!


gulmohar roz mujhse tumhara naam pochhta hai..........


wahi gulmohar...

jiski ek pankhudi tumne mere kano me pehnayi thi,

jiske chhawn tale...

humne sari kasme poori karne ki,

kasam khayi thi...


rishtey ka aagaj jo dekh tha usne...

usi hansi karvaan ka aaj wo anjam poochhta hai...


gilmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


yad hai...

alsayi garmi ki wo dopehar,

jab tumne mere dupatte ke kor me,

uske kuchh phool bandhe the........

kya tha wo?

shayd humari koi mannat thi.....


duaon ki si bhid me wo..

gum huye phoolon ka hal poochhta hai....


gulmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


kaisi hasin firozi sham thi.....

jab main chhupakar tumse milne aayi thi,

meri ungliyan uske patton me lipti thi,

jisko suljhakar tumne,halke se mera hath dabaya tha....


uljhan ki is andheri sham me..

hare se un patton ka naya rang poochhta hai....


gulmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


gum se hote subah,dopehar aur sham.....

pahle chote se,

fir tera wo lamba sa intezar,

ab main wahan nahi jati........

kabhi nahi jati.........


mulakaton ke is ajib se silsile me.......

apni nayi tanhai ka raj poochhta hai......


gulmohar mujh se tumhara naam poochhta hai!!!!!!!!!!

Thursday, June 12, 2008

Jo tumhare sath bhingoye hain....

main takreeban har roz hi,
ek nazm likhti hun...
barishon ke wo mausam yad kar,
jo tumhare sath bhingoye hain...


wo gulabi wali chhatri,
meri aasmani si odhni......
sab sambhal kar rakhe hain,
jo tumhare sath bhingoye hain.......


akeli, bhingati,kanpti si wo sadak,
tap-tap barasti boondo ka wo shor...
aaj bhi wahi geet sunate hain,
jo tumhare sath bhingoye hain...


fisal kar tooti wo sunhari chhapal,
aur us par kichad ka wo dag....
aaj bhi aalte ke wahi rang gholte hain,
jo tumhare sath bhingoye hain.......


mere kandhe se dhalakta wo bhinga dupatta,
balon se tapkatei halki si boonde.....
aur tumhare bhhenge hathon ki wo garm salwate,
tej dhadkano ki badhti si aahten............

BAS wo lamha hi nahi milta,
jo tumhare sath bhingoye hain.........

Ek nazm

kash ye BARSAT seene me thehar jati.....

fir har roz dost na sahi,
raqibon ke ghar hi baras jati...

chhookar dekhti,
iski boonde itni mulayam kyon hain....

neelam ka hai jo ye aasman,
uske khwabgah me itni roomaniyat kyon hai........

tere pyar me doobkar,
humne mausamon ki jawani ko chhua hai.....

intezar ki is akeli sham me,
boondo ke resham se is nazm ko buna hai.........

kitni hi nazme udhed kar goonth leti hun main.....

par peechhle kai salon se barish ki siddat bhi kam nahi hoti.....

tumne ungaliyon se jo boonde meri palakon se uthayi thi,
aaj loan ki ghash per use bikher aayi hun......

teri un pak si aankhon ki khusboo bhi mai,
in boondo ko jhini si chader me boon aayi hun.......

nazaron se chhuna kabhi,
khidki ki tapakati boondo ko....

mere hathon ka gulabi makhmal,
teri yadon ko mungiya kar jayega.........

aur meri ye gungunati nazm bhi,
tere hath ki coffee me ghul jayegi.........

fir sath ki wo mithas,
aur yadon ki wo kadwahat...

tere bhi seene me tehar jayegi......


kash ye barsat seene me thaher si jati.............

Bheengi se ye sham........

...Bheengi si ye sham tere tassaur me chhodkar chalte hain....
waqt me lapetkar,sirhane me isko rakh lena.....


kabhi-kabhi jab yun hi,
dhoop jyada ho jindagi ki,
iske ek katre se apni aankhen nam kar lena....


har pal ye kambakht sanse kisko yad rakhti hain,
barish ki har sham me saanson ko inme jamne dena....


jama hua,naram sa wo ehsas,
gudgudaye kabhi to ek nazm koi bana lena.......


pighal kar katra -katra jab teri nashon me bah jaye,
to meri tarah tum bhi apni mayyat saja lena....

bhingi si ye sham

fir Krishna......

teri un sawanri aankhon ka rang,
aaj badal apni sakal me samet laye hain...


aur deho radha ki is basti me,
ek aur premkahani ka aangan bhi chun aaye hain....


nachengi bunde fir se teri murli ki tan pe,
barishon ke ye mausam pranay ki aisi dhun laye hain...


Ek aur kahani roo-ba-roo hoti hai yahan,
jahan aasman ne teri aankhon ke mulakat kam paye hain....


dharti hai ye is meera ki,
jiski god ne chamakte ret ke samander paye hain....


kabhi ise bhi chhookar jana ooh KRISHNA,
intezar ki ghaneri dhoop me isne apne yauwan tape hain...

Monday, May 19, 2008

~~~barsat~~~~

gulmohar rachi hatheliyon ki dastak...
mausam ke naye andaj ne di hai,

barish ke rango me dubo kar...
odhni nayi rango se bhingi hai....

chham chham sa ek geet hai....
sargam jisko hawaon ke tal ne di hai.....

lamha-lamha bhing sa jata hai....
khwab itne is barsat me barsat me barsa hai...

kal tha jo ek nam sa....
badlon sa wo mere aangan me barsa hai......

YE BARSAT.....


.....Gulmohar ki ghani mungiya chhawn.....


....kajal ki odhni odhe,

abr ki ek sham......


....muthi bhar barsat ki,

saugat sa lata ye mausam.....


....palken mund kar,

shukun ko jehan me bhar lene do....


tapate jhulaste armano ko,

bhing jane do is fuhar me......


.....tassaur ke aangan me ek chhupa kar rkh do....

in bhinge pathrile raston par,

chalengi fir se gungunati bhuli si kahaniyan.....


.....har ghaneri barsat ki sham ko...

halke se pani ki parchhayion ko chhuna.....


....thehra sa wo ehsas,

behta jayega...

door tak....


ek aisi hi ghaneri barsat ki sham tak....



chhuta jayega mujhko.....

Tuesday, February 19, 2008

::Barsat::


......Us ek ajanabi si barsat ki sham me,


jab chandi ki tiliyon si bunde yun hi barasne lagi......



khidkiyon se dekha,


jane pehchane raste achanak anjan ho gaye.....


dhul gaye se,nayi khusboo lapete,nayi pehchan ke sath...



chalte-chalte jab yun hi sard hawa ko apne shal me lapeta to,


tumhara na hona aur bhi mukammal ho gaya.....



chhuta raha raste bhar barsata pani,


phir bhi tere chhune ka ehsas nahi dhul paya....



band kar li maine aankhe apni,


chehra tera mita diya apne khyal se bhi....


achanak har bhatakata badal tumhari shakl tarasne laga.....



tum gaye,jate hi jindagi ke sare rang bin pani hi dhul gaye,


phir barsat ki ye rumaniyat kyon nahi dhulti.....



main bhul jaun,

par ye barsat tumhe nahi bhulti.......

Thursday, February 14, 2008

~~!Ek khwab!~~


Tumhare liye ek khwab bachakar rakha hai,

apne in aawara najron se.......



ek sham hai,

bilkul tapte pighalte sooraj ke sone wali....



samander ke laharon se,

saja ek neela roomani sa rasta....



chandani jahan doodh se nahakar,

dikhayegi hume apni parchhaian.....



kitna kuchh bolti hain,

meri chup chup si pareshan aankhen....



ulajhi-ulajhi har dhadkan,

mere hi aanchal ke sut se.....



dheere se chhuna mera hath,

jaise chand par rakhi ho ungali tumne.....



halke se kano me kehna,

jo sunna hai mujhe barbar....



sharm ko titliyon ke rang,

mere galon par dalkar kho jane do...



lelo apni bahon me aur,

roshan ho jane do is ek ehsas ko....



simati si sahmi si ye rat,

jaise koi aksh ho mera hi.....



is chhawn ko jal jane do,

apne chand ke aanch me...



aankhen jo moond lun to kholun na kabhi...



tumhare liye ek khwab bachakar rakha hai....






Saturday, February 9, 2008

Shayad....

....Ek aur intezar jal ke dekho...

in khali raton ko apna koi chand sa mile.

....in chalti firti rahon per....

thama hua koi waqt abhi mile.

....khincha tha apne kajl se tere aksh ka jo dayara...

use bharne ko rang kisi aue aasma se mile.

...jis aarjoo ke sath gujre the unki panaho se kabhi...

us ek tamanna ko shayad koi aur intezar hi mile....

Friday, February 8, 2008

TERI CHAHAT!!!!!!!

Chaha jo tujhe pyar karna.....
to tu meri uljhan ban gaya!


Chaha tujhe bhul jana.....
to tu mera mukaddar ban gaya!


Chaha tuhe na chahna...
to tu mera wajood ban gaya!


Chaha tere pyar ko chhupana...
to tu meri pehchan ban gaya!


Chaha tujhe aankhon me chhupana...
to tu katra aansoon ka ban gaya!


Chaha tujhse jo kuchh na kehna....
to zindagi ka fasana ban gaya!


Chaha tujhse jo kuchh kehna....
to na jane kab anjana ban gaya!


Chaha tere sapno me basna...
to tu ratjagon ka karn ban gaya!


Chaha jo teri subah ko rangana...
to tu neeli shamo ka ghera ban gaya!


Chaha teri aankhon me basna...
to tu khud ek najara ban gaya!


Chaha jo teri zindagi me tham jana...
to tu chalta firta waqt ban gaya!


Chaha tujh me hi kahin bas jana...
to tu hi meri aawargi ban gaya!

Thursday, February 7, 2008

BASANTI

Ragon me behta rahe,
tu har hindustani ki kahani banke.......

Seene me dhadke tu,
wahi sailab toofani banke.....

Aankhon se chhalakata sa,
aaj bhi khun-e-rawani banke.......

Aa rang ja fir se,
joonoon-e-basanti me apni jawani banke.....

Naam

Har ek teh me band hai resham si chhuan....
aur har rat palkon ko gudguda jati hai....

khwabon ki chiknai to dekho..
her nind fisal hi jati hai...

chidyon ke par,titliyon ke rang aur bele ki sugandh..,
aaj bhi har rat ko kahaniyon sa bun jati hai....

baste me band us kachhe aam ki khusboo
kyon aaj bhi swad me ghul si jati hai...

us gay ke bachhde ka nam aur uska chalna pehli bar
yad aa aaj bhi masoomiyat si mang lati hai.....

wo gudiya ki shadi aur jhuke neem k pedon ki dali...
jehan me ghul sab gulabi kar jati hai....

pyaj k kuchh phool aur sabke hisse ki alag kyariyan...
kabhi-kabhi har rang ko dhani kar jati hai....

daudti thakati soch ki ladiyan relgadiyon si...
us namkeen se aanchal me jakar tham si jati thi...

khele the kitne hi khel tere aangan me....
tu har khel me mujhse hara karti thi....

kal tha jo bachpan,
aaj us kahni ka NAAM khwab rakha hai..

aur tujhko kya main NAAM doon,
tera NAAM aaj bhi maine maa rakha hai...

Ye kaun poochhta hai...

Barbar ye kaisa dhuan sa uthta hai,
apna ye desh hindustan kyon roz naya aasma dhundhata hai?

Hai apni sarjami to wahi ek si,
fir kyon har basinda iska naya nam dhundhta hai?

Jise yakin hi nahi HINDUSTAN is ek nam par,
kaise wo humse humari pehchan poochhta hai?

Dhadkata hai yahi ek desh jab sabke seene me,
to wo kyon is dhadkan ki boli,bhasha aue rag poochhta hai?

Paida huye jis dharti par hum ek hi nam lekar.
koi humse us dharti par humara adhikar poochhta hai...

Apne chand salon ke kuchh shokhon ke liye,
koi humse humare salon purane sath ka hisab poochhta hai......

nazaren.....

nazren humari jhuk kar uthi nahi....
aur nasha saki ki rooh tak nahi pahuncha.

Wednesday, February 6, 2008