Monday, May 19, 2008

~~~barsat~~~~

gulmohar rachi hatheliyon ki dastak...
mausam ke naye andaj ne di hai,

barish ke rango me dubo kar...
odhni nayi rango se bhingi hai....

chham chham sa ek geet hai....
sargam jisko hawaon ke tal ne di hai.....

lamha-lamha bhing sa jata hai....
khwab itne is barsat me barsat me barsa hai...

kal tha jo ek nam sa....
badlon sa wo mere aangan me barsa hai......

YE BARSAT.....


.....Gulmohar ki ghani mungiya chhawn.....


....kajal ki odhni odhe,

abr ki ek sham......


....muthi bhar barsat ki,

saugat sa lata ye mausam.....


....palken mund kar,

shukun ko jehan me bhar lene do....


tapate jhulaste armano ko,

bhing jane do is fuhar me......


.....tassaur ke aangan me ek chhupa kar rkh do....

in bhinge pathrile raston par,

chalengi fir se gungunati bhuli si kahaniyan.....


.....har ghaneri barsat ki sham ko...

halke se pani ki parchhayion ko chhuna.....


....thehra sa wo ehsas,

behta jayega...

door tak....


ek aisi hi ghaneri barsat ki sham tak....



chhuta jayega mujhko.....