Thursday, June 19, 2008

Meri har nazm bhing si jati hai,
uski soch barasti rehti hai....


geeli yadon se nahakar main,
boondo ka aanchal odh leti hun...
badal thoda sa,
in aankhon me bhar leti hun..
sawan wali jo hoti hai mehndi,
unko haathon se chhu leti hun...
bas ye jo dooriyan hain na..
uska intzar nahi pehanati,
aur in barsaton ko to dekho...
aajkal bin mausam nahi barasti,
aaj rakh jaungi..
apne mausamon ki dehleez par,
wo mutthi bar gulmohar main...
jis se tumne mere maathe par,
wo lal sa sooraj buna tha...
rishtey ki sham si ho chali hai,
gulmohar bhi ab barsat dhundhta hai......
ab bas uski yaden barsati rehti hai...
aur meri har nazm bhing si jati hai..

Wednesday, June 18, 2008

sath

एक अँधा कुआँ है ये इंतज़ार,
मैं झाँकती रहती हूँ.......
कितने ही लम्हे चुन चुन कर डालती हूँ,
पर इस तन्हाई को कुछ महसूस नही होता...

तुम्हारी वो एक कसम,
ना जाने कौन सी उमर ले कर आई है...
कितना भी निचोड़ूं,
धड़कन का कतरा बंद नही होता.....

ये कैसी ज़िद है?
मैं क्यों तुम्हारा प्यार तौलती हूँ...
जंगली फूलों से खिल ही आते हैं,
साथ की यादों का मौसम कभी गुम ही नही होता..

Monday, June 16, 2008

!!!..Ek Aur nazm..!!!

aadatan main aaine ke chehre par bindi chipkati hun,
kya tum aaj bhi uski paridhi me meri shaql taraste ho....

ab takiye se,mere mehndi wale balon ki khusboo to nahi aati hogi,
fir kya raton ko tum yadon ki chader odh kar sote ho.......

main pareshan hun,tumhare liye jo RINGTONE ASIGN kiya tha,
ab bas wahi bajati hun...
jhoothe bahene se,khush hoti hun,
kya tum aaj bhi meri khamoshi tak sun pate ho.........

tumhe teesta(d river)ka hara rang bada pasand tha,
kahte the aasma ko chhod,ye apne pahadon ke rang odhti hai...
teesta kinare baith main ghanto pahadon ko takti hun,
meri pathreelon aankhon ki nami ka aasman,
kya ab bhi tum chunte ho???????

Saturday, June 14, 2008

चलो फिर से मोहबत की शुरुआत करते हैं....
आँखों की लुक्का छिप्पि को फिर से तसलीम करते हैं...

तुम फिर से वहीं किसी और का इंतज़ार करना...
जिस रह से हम अक्सर गुजरा करते थे.....

हम वो काली बिंदी फिर से यूँ ही लगा लेते हैं.......
जिसे देखकर तुम मुस्कुरा दिया करते थे....

तुम डेस्क पर फिर से वही किताब भूल जाना...
. जिसके पन्नो पर तुम हमारा नाम लिखा करते थे..

हम सीढ़ियों पर वही स्कार्फ फिर से भूल जाते हैं...
जिसे लौटते वक़्त तुम मेरे हाथों को हल्के से छुआ करते थे...

तुम केंटिन की टेबल पर फिर से वही धुन बजाना...
जिसके बोल हमारा नाम पुकारा करते थे....

वो प्यार जो छुता था पहले बिन बोले ही...
आओ उसी रेशम से फिर से जाल बुनते हैं....

चलो फिर से मोहब्बत की शुरुआत करते हैं...

Friday, June 13, 2008

gulmohar...poochhta hai!!!!!!!


gulmohar roz mujhse tumhara naam pochhta hai..........


wahi gulmohar...

jiski ek pankhudi tumne mere kano me pehnayi thi,

jiske chhawn tale...

humne sari kasme poori karne ki,

kasam khayi thi...


rishtey ka aagaj jo dekh tha usne...

usi hansi karvaan ka aaj wo anjam poochhta hai...


gilmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


yad hai...

alsayi garmi ki wo dopehar,

jab tumne mere dupatte ke kor me,

uske kuchh phool bandhe the........

kya tha wo?

shayd humari koi mannat thi.....


duaon ki si bhid me wo..

gum huye phoolon ka hal poochhta hai....


gulmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


kaisi hasin firozi sham thi.....

jab main chhupakar tumse milne aayi thi,

meri ungliyan uske patton me lipti thi,

jisko suljhakar tumne,halke se mera hath dabaya tha....


uljhan ki is andheri sham me..

hare se un patton ka naya rang poochhta hai....


gulmohar poochhta hai!!!!!!!!!!


gum se hote subah,dopehar aur sham.....

pahle chote se,

fir tera wo lamba sa intezar,

ab main wahan nahi jati........

kabhi nahi jati.........


mulakaton ke is ajib se silsile me.......

apni nayi tanhai ka raj poochhta hai......


gulmohar mujh se tumhara naam poochhta hai!!!!!!!!!!

Thursday, June 12, 2008

Jo tumhare sath bhingoye hain....

main takreeban har roz hi,
ek nazm likhti hun...
barishon ke wo mausam yad kar,
jo tumhare sath bhingoye hain...


wo gulabi wali chhatri,
meri aasmani si odhni......
sab sambhal kar rakhe hain,
jo tumhare sath bhingoye hain.......


akeli, bhingati,kanpti si wo sadak,
tap-tap barasti boondo ka wo shor...
aaj bhi wahi geet sunate hain,
jo tumhare sath bhingoye hain...


fisal kar tooti wo sunhari chhapal,
aur us par kichad ka wo dag....
aaj bhi aalte ke wahi rang gholte hain,
jo tumhare sath bhingoye hain.......


mere kandhe se dhalakta wo bhinga dupatta,
balon se tapkatei halki si boonde.....
aur tumhare bhhenge hathon ki wo garm salwate,
tej dhadkano ki badhti si aahten............

BAS wo lamha hi nahi milta,
jo tumhare sath bhingoye hain.........

Ek nazm

kash ye BARSAT seene me thehar jati.....

fir har roz dost na sahi,
raqibon ke ghar hi baras jati...

chhookar dekhti,
iski boonde itni mulayam kyon hain....

neelam ka hai jo ye aasman,
uske khwabgah me itni roomaniyat kyon hai........

tere pyar me doobkar,
humne mausamon ki jawani ko chhua hai.....

intezar ki is akeli sham me,
boondo ke resham se is nazm ko buna hai.........

kitni hi nazme udhed kar goonth leti hun main.....

par peechhle kai salon se barish ki siddat bhi kam nahi hoti.....

tumne ungaliyon se jo boonde meri palakon se uthayi thi,
aaj loan ki ghash per use bikher aayi hun......

teri un pak si aankhon ki khusboo bhi mai,
in boondo ko jhini si chader me boon aayi hun.......

nazaron se chhuna kabhi,
khidki ki tapakati boondo ko....

mere hathon ka gulabi makhmal,
teri yadon ko mungiya kar jayega.........

aur meri ye gungunati nazm bhi,
tere hath ki coffee me ghul jayegi.........

fir sath ki wo mithas,
aur yadon ki wo kadwahat...

tere bhi seene me tehar jayegi......


kash ye barsat seene me thaher si jati.............

Bheengi se ye sham........

...Bheengi si ye sham tere tassaur me chhodkar chalte hain....
waqt me lapetkar,sirhane me isko rakh lena.....


kabhi-kabhi jab yun hi,
dhoop jyada ho jindagi ki,
iske ek katre se apni aankhen nam kar lena....


har pal ye kambakht sanse kisko yad rakhti hain,
barish ki har sham me saanson ko inme jamne dena....


jama hua,naram sa wo ehsas,
gudgudaye kabhi to ek nazm koi bana lena.......


pighal kar katra -katra jab teri nashon me bah jaye,
to meri tarah tum bhi apni mayyat saja lena....

bhingi si ye sham

fir Krishna......

teri un sawanri aankhon ka rang,
aaj badal apni sakal me samet laye hain...


aur deho radha ki is basti me,
ek aur premkahani ka aangan bhi chun aaye hain....


nachengi bunde fir se teri murli ki tan pe,
barishon ke ye mausam pranay ki aisi dhun laye hain...


Ek aur kahani roo-ba-roo hoti hai yahan,
jahan aasman ne teri aankhon ke mulakat kam paye hain....


dharti hai ye is meera ki,
jiski god ne chamakte ret ke samander paye hain....


kabhi ise bhi chhookar jana ooh KRISHNA,
intezar ki ghaneri dhoop me isne apne yauwan tape hain...